Azmatan Ki ki Sunawan Maa Diyan Lyrics


A beautiful lyrics of Kalam Azmatan Ki ki Sunawan Maa Diyan Lyrics, Most popular Kalam Azmatan Ki ki Sunawan Maa Diyan Lyrics, Now you can read Lyrics of Kalam Azmatan Ki ki Sunawan Maa Diyan online.

Azmatan Ki ki Sunawan Maa Diyan Lyrics


Azmatan Ki ki Sunawan Maa diyan

Azmatan Ki ki Sunawan Maa diyan

taar dehdiyan nain duhawan maa diyan

taar dehdiyan nain duhawan maa diyan

rokhay piyaray muhammed mustafa

yaad jad aieyain wafawan maa diyan

laal piyara jad takh ghar nahii awanda

Raain boohay nighawan maa diyan

lainday charday har thwaan tumma tummiya

buuriyan thandiyan nai chawaan maa diyan

main habeeb ahmed habibi kujwinaiy

chumiya taliyan awliyan wa maa diyan

rab qadr kareem rahim eisa

koi rahim naiy allah paak varga

baath rab tho saari kainat andar

duja koi naiy shahe lo lakhe varga

duniyan dari dain sarain rishtiyan which

koi saakh naiy maa dain saakh varga

puthr pawain zamaanay da ghasue howay

naiy o madain parain di khaawk varga

goad maa diya dars gakh paili

itooun zindagi da nasban ein banda

eithoun datha haja fareed bankhay

dukhi dilan vastaiy chaain banday

paikhar maa di sharmo haya diyaiy

feir puthr ve ghause saqlain bandaiy

sayyida hathoon e jannat main maa ho vay sabir

feir laal ve sahiin hussain banday

do jag e andr je toun sukhjandaiy

dasr amr mai kar to peel liyakar

jis haal andr maa ho way raazi

uss hall wich tuun jeeliyakar

utcha boal na maa toun boal baiti

maa samnay labaan see liyakar

jadoun tainoun sakoon di loar howay

pair maa kay tokhay pe liyakar

kamliy waalay soanay mahboob rab day

izzat maan dain karkhain vicahditti

aundi mahiin haleema nu wakaitay

qamli waalay qamli vichaditti

yaran arz kitti soniyan koan siye

jinnoo kamli nay tussaan jaga dithi

farmay nabi nain meri maa hain jay

jidoon seenay au mowla raza ditthi

azmatoan sirsain di bari hoandi

raazi jis tha sajna maa howay

jera dkhuk da ai maan di qadman

ohho bandah zamanay te tan howay

hazrat owais maang jo maa di qadr jaanay

ka im sadday zamanay te na howay

rab we kehndahay moosa samal gaya

jaddoo sitrtain na sabira maa howay

Ruthba maa da rab buland kitta

saanii maa da wich sinsaar koi nahiin

dardi koii maa de dil varga

maa karda piyaar kopi nahiin

aap gillay to pawwain ulad sukkay

kar sakhta inj insaar koi nahiin

jiddi kand te maa da hath howay

unoow duwwan jahhanch haal koinii

Azal Ki Khushboo Ho Naat Lyrics


A beautiful lyrics of Naat Azal Ki Khushboo Ho Naat Lyrics, Most popular Naat Azal Ki Khushboo Ho Naat Lyrics, Now you can read Lyrics of Naat Azal Ki Khushboo Ho online.

Azal Ki Khushboo Ho Naat Lyrics


Azal Ki Khushboo Ho jismein Pinhaa’n
koi batae tu naam aisa
wo naam-e-Ahmed ke phool barsein
Bayan Aisa Kalam Aisa
Azal Ki Khushboo

Wohi Hai Qur’an wohi ha furqa’n
wohi hai rab jiska hai sama khaa’n
Farishte pardh pardh ke jhoomte hain
Durood aisa Salam aisa
Azal ki khushboo

Hai deen-e-haq mein jamal-e-yazdaan
hai arsh bhi jispe naaza’n
wohi tu laya hai deen aisa
wohi tu laya nizaam aisa
Azal ki khushboo

wo jis ka saya tu arsh par hai
wo jis ka zaroon ke dil mein ghar hai
wohi jo chamka tu phir na dooba
wohi hai mahe tamam aisa
Azal ki khushboo

nazar be yaqsaa’n ghulam-o-aaqa
buzurgon par tar hai sirf taqwa
koi jahan mein hai deen aisa
kahin hai koi nizaam aisa
Azal ki khushboo

Woh jis andheri gali se guzra
badal diya noor mein andhera
dilon ki dunia badal ke rakhdi
dia dilon ko payam aisa
Azal ki khushboo

Aqeel aisa khalil aisa
jalil aisa jamil aisa
na riffaton mein na azmaton mein
kisi ne paya maqam aisa
Azal ki khushboo

qala’t aisi sa’adat aisi
riya’zat aisi ‘iba’da’t aisi
wo jispe kaabe ko washjd aaya
sujood aisa qayam aisa

Azal ki khush boo ho jismein pinhaa’n
koi batae tu naam aisa
woh naam-e-Ahmed ke phool barsein
bayan aisa kalam aisa
Azal ki khushboo

Arshe Haq Hai Naat Lyrics


A beautiful lyrics of Naat Arshe Haq Hai Naat Lyrics, Most popular Naat Arshe Haq Hai Naat Lyrics, Now you can read Lyrics of Arshe Haq Hai online.

Arshe Haq Hai Naat Lyrics


Arshe Haq he musnade rif’at Rasoolullah ki
Dekhni he Hashr me Izzat Rasoolullah ki

Qabr me lehrayenge tha Hasr chashme noor ke
Jalwah farma hogi jab tal’at Rasoolullah ki

Kaafiro Par Taighe Waala Se Giri Bakre Ghazab
Abr-Aasa Cha Gayi Haibat Rasoolullah Ki

Laa Wa Rabbil Arsh jisko jo mila Unse mila
Bat’ti he Kownain me ne’mat Rasoolullah ki

Wo Jahannum me gaya jo Unse mustaghni huwa
Hai Khalleelullah ko haajat Rasoolullah ki

Sooraj ulte paaw palte chaand ishaare se ho chaak
Andhe Najdi dekhle Qudrat Rasoolullah ki

Tujhse aur Jannat se kya matlab wahabi duur ho
Hum Rasoolullah ke, Jannat Rasoolullah ki

Zikr Roke Fazal Kaate Naqs Ka Juya(n) Rahe
Phir Kahe Mardak Ke Hu Ummat Rasoolullah Ki

Najdi Usne Tujhko Mohlat Di Ki Iss Aalam Me Hai
Kaafiro Murtad Pe Rehmat Rasoolullah Ki

Hum bhikaari Wo Kareem, Unka Khudaa Unse fazoo
Aur naa kehna nahee Aadat Rasoolullah ki

Ahle Sunnat ka he bera paar Ashaabe Rasool
Najm he aur Naav hai Itrat Rasoolullah ki

Khaaq Ho Kar Ishq Me Aaram Se Sona Mila
Jaan Ki AkSeer Hai Ulfat Rasoolullah Ki

Toot jaa-enge gunaahgaro ke fawran qaid-o-bund
Hashr ko khuljaaegi Taaqat Rasoolullah ki

Ya Rabb ik saa’at me dhul jaa-e siyaahkaro ke jurm
Josh par aa jaaye ab Rehmat Rasoolullah ki

Hai Ghule Baaghe Qudus Rukhsaar E Zeba E Huzoor
Sarve Ghulzaar E Qadam Kaamat Rasoolullah Ki

Ae Raza khud Saahibe Quraan hai mud’daahe Huzoor
Tujhse kab mumkin he phir midhat Rasoolullah ki

Arsh Ka Dulha Aaya Hai Naat Lyrics


A beautiful lyrics of Naat Arsh Ka Dulha Aaya Hai Naat Lyrics, Most popular Naat Arsh Ka Dulha Aaya Hai Naat Lyrics, Now you can read Lyrics of Arsh Ka Dulha Aaya Hai online.

Arsh Ka Dulha Aaya Hai Naat Lyrics


A’alam Mein Baraat Rachi Hai
Arsh Ka Dulha Aaya Hai
Jugmug Jugmug Duniya Saji Hai
Arsh Ka Dulha Aaya Hai

Arsh Se Utra Noor Khuda Ka
Noor Badamaan Saari Duniya
Inki Zia Se Ye Chamki Hai
Arsh Ka Dulha Aaya Hai

Kufur Ki Boo Kafoor Hui Hai
Shah-e-Dinaa Ki Aamad Se
Khushboo-e-Iman Pehli Hai
Arsh Ka Dulha Aaya Hai

Khushiyon Ke Fuwaaray Ublay
Kaysi Masti Chayi Hai
Ghar Ghar Mein Shaadi Utri Hai
Arsh Ka Dulha Aaya Hai

Nikhre Nikhre Gulshan Saaray
Rung Ajab Hain Phoolon Ke
Daali Daali Youn Mehki Hai
Arsh Ka Dulha Aaya Hai

Hoor-O-Ghilmaan Saaray Malaik
Jinn-O-Insaan Taab’ay Hain
Donoo A’alam Par Shahi Hai
Arsh Ka Dulha Aaya Hai

Farsh Pe Chamka Arsh Ka Taara
Amina Bi Ke Ghar Utra
Do A’alam Mein Dhoom Machi Hai
Arsh Ka Dulha Aaya Hai

Ma’iraj Ki Manzil Pe Ujaagar
Tanha Fayiz Sarwar Hain
Baraati Har Aik Nabi Hai
Arsh Ka Dulha Aaya Hai

Written By Nisar Ali UJAGAR

Aqa Bachalo Is Aasi Ko Naat Lyrics


A beautiful lyrics of Naat Aqa Bachalo Is Aasi Ko Naat Lyrics, Most popular Naat Aqa Bachalo Is Aasi Ko Naat Lyrics, Now you can read Lyrics of Aqa Bachalo Is Aasi Ko online.

Aqa Bachalo Is Aasi Ko Naat Lyrics


Aqa Bachalo Is Aasi Ko Jo Dooba Hua Hai Gunahon Mein
Ab Aap Hi Ise Bachana Ya Rasool Allah

Main Khatakar Hoon Main Gunahgar Hoon Main Siyakar Hoon
Mujh Bad Ko Aap Hi Bachana Ya Rasool Allah

tum malik-o-muqtaar ho jise chahe jo chahe use ataa karde
meri bhi jholi bhardena ya rasool allah

mere bad aamal ke sabab mujh par azab ho jab qabr me
mujhe tum bachane aana ya rasool allah

sunta hoo logon se ke aqa ghar tashrif laye qaab me
mere qaab me bhi tum aana ya rasool allah

tere dar ki haazri ke liye kab se hoo shaha betab
mujhe dar pe tum bulana ya rasool allah

ghamo ke samandar me dubta ja raha hai mera safina
ho jai nazre karam kinare lag jai mera safina ya rasool allah

kuch amal nahi is aasi ke paas sar ta pa gunaho me duba huva hai
mahshar me tum hi bharam rakhna ya rasool allah

hoga jab khuda jalal me puche jab mujh se mera amal
mujhe mahshar me tum bachana ya rasool allah

nikle meri rooh tere hi dayar me sabz gumbad ke saye me
is waqt mujhe apna didar bhi karana ya rasool allah

gar hind me israiel(alahi salam) meri rooh lene aaye
kahdena tahro ise aajane do madina ya rasool allah

hogaye hai dur mujh se mere dost-o-ahbab
mujh se tum na dur ho jana ya rasool allah

hubbe duniya se bachakar mujhe apni kambli me chupalena
bas mai banjau tera hi diwana ya rasool allah

JABER jo aap ke dar ki hazri ke liye tadap raha hai
ise jald taiba me bulana ya rasool allah

Aqa Ko Pukaar Bandey Naat Lyrics


A beautiful lyrics of Naat Aqa Ko Pukaar Bandey Naat Lyrics, Most popular Naat Aqa Ko Pukaar Bandey Naat Lyrics, Now you can read Lyrics of Aqa Ko Pukaar Bandey online.

Aqa Ko Pukaar Bandey Naat Lyrics


Aqa ko pukaar bandey, Aqa ko pukaar!

Insha’Allah ho jaey ga tera beyra paar

Kya kehna darbar Nabi ka ,uss ki shaan aali hai.

Hargiz na mehroom woh lauta uss dar ka jo sawaali hai

Aao chalain ham sooey madinah, chowr ke sab ghar bar.

Un ke haath main kul kunji hai Rabb ne unain Mukhtar kiya

Ham ko Un ka mangta banaya aur Un ko Sarkaar kiya

Jo Sarkaar ke dar ka gada hai, woh khud hai mukhtar

Thumma dana fatadallaa ka mansab Sarkaar ko hasil hai

Puhnch na paya koi uss jah, jo sarkaar ki manzil hai

Asraa ki shab uznu minni Maulaa ki thi pukaar.

Aala Hazrat ne ya Rabb yeh dars hamian sikhlaya hai

Jo gustakh-e-khuda ya Nabi hai apna nahi woh paraya hai

Haan aisey gustakhoon par hai Khaliq ki phatkaar

Kiyun ghamgeen hai tu ay sayyed dar par who bulwain gey

Ranj-o-gham sab door karain gey sooey bhaag jagayain gey

Aur bhi koi Unn ke siwa hai dukhiyoon ka gham khawar

Apni Nisbat Se Mein Kuch Nahi Hu Naat Lyrics


A beautiful lyrics of Naat Apni Nisbat Se Mein Kuch Nahi Hu Naat Lyrics, Most popular Naat Apni Nisbat Se Mein Kuch Nahi Hu Naat Lyrics, Now you can read Lyrics of Apni Nisbat Se Mein Kuch Nahi Hu online.

Apni Nisbat Se Mein Kuch Nahi Hu Naat Lyrics


Apni Nisbat Se Mein Kuch Nahi Hu
Iss Karam Ki Badolat Barha Hu
Unkay Tukroon Say Ezaz Pa Kar
Tajdaroon Ki Saf Mein Khara Hu

Iss Karam Ko Magar Kiya Kaho Gay
Meinay Mana Mein Saab Say Bura Hoon
Jo Buroon Ko Samatay Huey Hain
Unkay Qadmoon Mein Bhi Para Hoon

Dekhnay Walo Mujhko Na Dekho
Dekhna Hai Agar To Yeh Dekho
Kisay Daman Say Wabasta Hoon Mein
Kon Wali Hai Kiska Gada Hoon

Dekhta Hoon Jab Unki Aataein
Bhool Jata Hoon Apni Khataein
Sir Nadamat Say Uthta Nahin Hai
Jab Mein Apni Taraf Dekhta Hoon

Ya Nabi Apnay Gham Ki Kahani
Keh Sakoon Ga Na Apni Zubani
Bin Kahay Hi Meri Laj Rakhlo
Mein Sisikti Hui Iltja Hoon

Shafe Mugniba Kay Karam Nay
Laj Rakhli Meray Khothay Pan Ki
Nisbatoon Ka Karam Hai Yeh Khalid
Khotha Hotay Huey Bhi Khara Hoon

Apni Nisbat Se Mein Kuch Nahi Hu
Is Karam Ki Badolat Barha Hoon
Unkay Tukroon Say Azaz Pa Kar
Tajdaroon Ki Saf Mein Khara Hu

Apni Ata Ka Haq Ne Ye manzar Dekh Diya Naat Lyrics


A beautiful lyrics of Naat Apni Ata Ka Haq Ne Ye manzar Dekh Diya Naat Lyrics, Most popular Naat Apni Ata Ka Haq Ne Ye manzar Dekh Diya Naat Lyrics, Now you can read Lyrics of Apni Ata Ka Haq Ne Ye manzar Dekh Diya online.

Apni Ata Ka Haq Ne Ye manzar Dekh Diya Naat Lyrics


Apni Atta Ka Haq Ney Ye manzar Dekha Diya
Dil Mera Astane Nabi Par Jhuka Diya

Kohey Shahe Arab ka Bana Kar Mujhy Faqeer
Shahe Ka Martaba Mery Dil Sey Ghata Diya

Esa Karim Esa Sakhi Aur Kon Hey
Mangta Jo Aya Mangny Sultan Bana Diya

Dil Mera Astane Nabi Par Jhuka Diya

Pohncha Diya Khuda Ney Dare Shah Par Humy
Allah Ney Ye Naat Ka Acha Sila Diya

Dil Mera Astane Nabi Par Jhuka Diya

Hum Sey Ziada Kon Hey Dunia Mey Khush Naseeb
Hum Ko Khuda Ney Un Ka Sana Khawan bana Diya

Dil Mera Astane Nabi Par Jhuka Diya

Rashke Falaq hey Mery Muqadar Ki Rifatein
Mujh Ko Ghulam un Ka Khuda Ney Bana Diya

Ankho Mey Bas Giya Hey Jamale Khuda Riaz
Deedar Jab sey Un ka Khuda Ney Kara Diya

Dil Mera Astane Nabi Par Jhuka Diya
Dil Mera Astane Nabi Par Jhuka Diya

Allah Allah Shah-e-Konain Jalalat Teri Naat Lyrics


A beautiful lyrics of Naat Allah Allah Shah-e-Konain Jalalat Teri Naat Lyrics, Most popular Naat Allah Allah Shah-e-Konain Jalalat Teri Naat Lyrics, Now you can read Lyrics of Allah Allah Shah-e-Konain Jalalat Teri online.

Allah Allah Shah-e-Konain Jalalat Teri Naat Lyrics


Allah Allah Shah-e-Konain Jala’lat Teri
Farsh Kiya Arsh Pe Jaari Hai Hukumat Teri

Jholiyan Khol Ke Be Samjhe Nahi Doar Aaye
Hamein Malum Hai Daulat Teri, Aadat Teri

Humen Malum Hai
Ke Wah Kiya Joodh-o-Karam Hai Shahe Bat’ha Tera
Ke Nahi Sunta Hi Nahi Maangne Wala Tera

Tu Jhooliyan Khool Ke Be Samjhe Nahi Doar Aaye
Humen Malum Hai Daulat Teri Aadat Teri

Tu Hi Hai Mulk-e-Khuda Milk-e-Khuda Ka Malik
Raaj Tera Hai Zamaane Main Hukumat Teri
Allah Allah Shah-e-Konain Jala’lat Teri

Majma-e-Hashr Main Ghabrayi Hoi Phirti Hai
Dhoondne Nikli Hai Mujrim Ko Shafa’at Teri

O Chain Paayen Gay Tarapte Howe Dil Mehshar Main
Gham Kisse Yaad Rahe Dekh ke Soorat Teri

Dekhne Waale Kahan Karte Hain Allah Allah
Ke Yaad Aata Hai Khuda Dekh Ke Soorat Teri

Aur Hum ne Mana ke Gunahon Ki Nahi Had Lekin
Tu Hai Un Ka Tu Hassan,-Teri hai Jannat Teri

Allah Allah Shah-e-Konain Jala’lat Teri
Farsh Kiya Arsh Pe Jaari Hai Hukumat Teri 

Allah Allah Kariye Tan Gal Bandi Ay Naat Lyrics


A beautiful lyrics of Naat Allah Allah Kariye Tan Gal Bandi Ay Naat Lyrics, Most popular Naat Allah Allah Kariye Tan Gal Bandi Ay Naat Lyrics, Now you can read Lyrics of Allah Allah Kariye Tan Gal Bandi Ay online.

Allah Allah Kariye Tan Gal Bandi Ay Naat Lyrics


Allah Allah kariye taan gall bann di ay
Kaamil Murshid pharriye taan gall bann di ay

Allahu diyan zarban laa ke seene te
Seena roshan kariye taan gall bann di ay

Aqalmanda nu puthiyan sochan le dubbiyan
Murshid de sang challiye, taan gall bann di aye

Murshid da kamm haq de raste paa dena
Pair sambhal ke dhariye, taan gall bann di ay

Dil wich naqsh bitha ke sohne Murshid da
Murshid murshid kariye taan gall bann di ay

Apna aap mitta ke milye murshid nu
Marran ton pehlaan marriye, taan gall bann di ay

Sirr nazrana kariye sirr de saiyeen ton
Naa de ehna te marriye, taan gall bann di ay

Allah Allah kariye taan gall bann di ay
Kaamil Murshid pharriye taan gall bann di ay

Aye Mere Mola Mola Mola Naat Lyrics


A beautiful lyrics of Naat Aye Mere Mola Mola Mola Naat Lyrics, Most popular Naat Aye Mere Mola Mola Mola Naat Lyrics, Now you can read Lyrics of Aye Mere Mola Mola Mola online.

Aye Mere Mola Mola Mola Naat Lyrics


Apna Haram dikha de Dono jahan ke Malik
Kismat Meri Jaga De Dono Jahan Ke Malik

Aye Mere Mola Mola Mola Mola
Aey Mere Mola Mola Mola Mola

Barson se Arzoo Hai -Taiba Ki Arzoo Hai
Ek Baar hi Dikha DE Har Saal hi Dikha de Dono Jahan Ke Malim

Aye Mere Mola Mola Mola Mola
Aey Mere Mola Mola Mola Mola

Ishq-eNabi ki Khusboo Karya-e-Jaan Main Rkha De
Ulfat Main Dil Basa De- Dono Jahan ke Malik

Aye Mere Mola Mola Mola Mola
Aey Mere Mola Mola Mola Mola

Duniya o Akhirat ke Har Gham se Tu Bari Hai
Mujda Mujhe Suna De Dono Jahan ke Malik

Aye Mere Mola Mola Mola Mola
Aey Mere Mola Mola Mola Mola

Duniya ke Har Sitam se Uqba ke Har Alam se
Daman Mera Chupa de Dono Jahan ke Malik

Aye Mere Mola Mola Mola Mola
Aey Mere Mola Mola Mola Mola

Baitha Nabi ke Dar Jiss Dam ko Yeh Gada Hai
Uss Dam isse Pana de Dono Jahan ke Malik

Aye Mere Mola Mola Mola Mola
Aey Mere Mola Mola Mola Mola

Aey Ishq-e-Nabi Meray Dil Mein Bhi Sama Jaana Naat Lyrics


A beautiful lyrics of Naat Aey Ishq-e-Nabi Meray Dil Mein Bhi Sama Jaana Naat Lyrics, Most popular Naat Aey Ishq-e-Nabi Meray Dil Mein Bhi Sama Jaana Naat Lyrics, Now you can read Lyrics of Aey Ishq-e-Nabi Meray Dil Mein Bhi Sama Jaana online.

Aey Ishq-e-Nabi Meray Dil Mein Bhi Sama Jaana Naat Lyrics


Aey ishq-e-Nabi meray dil mein bhi sama jaana

Aey ishq-e-Nabi meray dil mein bhi sama jaana
Mujh ko bhi Muhammad ka deewanah bana jaana

Jo rang keh Jaami par Rumi peh charhaya thaa
Lag da ey huney eytay Sarkar ney awna ey

Uss rang ki kuch rangath mujh peh bhi charhaa jaana
Qudrat ki nighahein bhi jis chehrey ko takthi hein

Uss chehra-e-anwar ka deedar karaa jaana
Jis khwaab mein ho jaeey deedar Nabi haasil

Aey ishq kabhi mujh ko woh neend sulaa jaana
Deedar-e-Muhammad ki hasrat tho rahe baaqi

Juz iss key har ik hasrat iss dil dey mitaa janaa
Duniya sey Riyaaz ho jab Uqbaa ki taraf jaana

Daagh-e-gham-e-Ahmad sey seeneh ko sajaa jaana

Ae Shahenshah E Madina Naat Lyrics


A beautiful lyrics of Naat Ae Shahenshah E Madina Naat Lyrics, Most popular Naat Ae Shahenshah E Madina Naat Lyrics, Now you can read Lyrics of Ae Shahenshah E Madina Naat Lyrics online.

Ae Shahenshah E Madina Naat Lyrics


Aye Shahenshahe Madina Asslatowasslam

ae shahenshah-e-madina, assalat-o-wassalam
zeenat-e arsh-e mu’alla, assalat-o-wassalam

rabbi-habli-ummati kehte huway paida huay
rab ne farmaya ke bakhsha assalat-o-wassalam

ae shahenshah-e-madina, assalat-o-wassalam,
zeenat-e-arsh-e mu’alla, assalat-o-wassalam

sar jhuka kar ba adab ishq-e rasoolallah may,
keh raha he har sitara assalat-o-wassalam

ae shahenshah-e-madina, assalat-o-wassalam,
zeenat-e-arshe-e mu’alla, assalat-o-wassalam

mu’mino padhthay raho tum apnay aqa par durood
he farishto ka wazifa, assalat-o-wassalam

ae shahenshah-e-madina, assalat-o-wassalam,
zeenat-e-arshe mu’alla, assalat-o-wassalam

mein woh sunni hu jamil-e qadri marnay ke ba’d
mayra laasha bhi kahe ga assalat-o-wassalam

ae shahenshah-e-madina assalat-o-wassalam
zeenat-e-arshe mu’allah, assalat-o-wassalam

jab firishtay qabr mein jalwa dhikha-e aap ka
ho zabban par pyaare aqa, assalat-o-wassalam,

ae shahenshah-e-madina, assalat-o-wassalam,
zeenat-e-arsh-e mu’allah, assalatowassalam.

Aaya Hai Bulawa Mujhe Darbar e Nabi Se Naat Lyrics


A beautiful lyrics of Naat Aaya Hai Bulawa Mujhe Darbar e Nabi Se, Most popular Naat Aaya Hai Bulawa Mujhe Darbar e Nabi Se Naat Lyrics, Now you can read Lyrics of Aaya Hai Bulawa Mujhe Darbar e Nabi Se Naat Lyrics online.

Aaya Hai Bulawa Mujhe Darbar e Nabi Se Naat Lyrics


Pegham Saba Laye Hai Gulzar-e-Nabi Se
Aaya Hai Bulawa Mujhe Darbar-e-Nabi Se

her aah gaye arsh pe ye aah ki kismat
her ashk pe aik khuld hai her ashk ki qeemat
tohfa ye mila hai sarkar-e-nabi se
ayaa hai bulawa mujhe darbare-nabi se
darbare-nabi se

bhaati nahi humdum mujhe jannat ki jawaani
sunta nahi zahid us mein hooron ki kahani
ulfat hai mujhe sayaa-e-deewar-e-nabi se
ayaa hai bulawa mujhe darbare-nabi se
darbare-nabi se

irfan ki kasak khulq ki mai sabr ka saagar
kiya lutf mila kerta hai jo dete hein sarwar
ye pooch le aake koi beemar-e-nabi se
aaya hai bulawa mujhe darbar-e-nabi se
darbar-e-nabi se
pegham saba laye hai gulzar-e-nabi se
aaya hai bulawa mujhe darbar-e-nabi se
darbar-e-nabi se
pegham saba laye hai gulzar-e-nabi se
aaya hai bulawa mujhe darbar-e-nabi se
darbar-e-nabi se

Baat Jo Kijiye Aur Jab Kijiye Naat Lyrics


A beautiful lyrics of Naat Baat Jo Kijiye Aur Jab Kijiye, Most popular Baat Jo Kijiye Aur Jab Kijiye Naat Lyrics, Now you can download Lyrics of Naat Baat Jo Kijiye Aur Jab Kijiye online.

Baat Jo Kijiye Aur Jab Kijiye Lyrics


Baat jo kijiye or jab kijiye,
Saath mein Zikr-e-Mehboob kijiye.

Chahtay ho milay zoq ansu bahain,
lab baaton say band apnay lub kijiye.

Loh woh minar-o-gumbad nazar aa gaye,
Ab Salam arz sub ba-adab kijiye.

Subz gunbad kay saaye talay hain kharay,
Khoob taqdeer par rashk aab kijiye.

Woh nawaazein gay khali na lotaayein gay,
Unsay hajaat arz apni sub kijiye.
Saath mein zikr-e-Mehboob kijiye.

Dar pe aakar, bhikari phirein namurad,
Yeh gawara bhala aap kab kijiye.

Ru baroo jaalion kay kharay hain Hazoor,
Ab ataa bheek Shah-e-Arab kijiye.

Aap kay dar kay hotay kidhar jaayein hum,
Ab ataa bheek Shah-e-Arab kijiye

Dijiye hum ko khairat deedar ki,
Aab karam Ya Nabi behr-e-Rab kijiye.

Mar raha hoon gunahoon kay amraaz say,
Ek nazar Janib-e-Jaan balab kijiye.

Qalb-e-tareek par rakh kay apna qadam,
Chaandna mere Mah-e-Arab kijiye.

Sun kay faryad imdaad ko aa gaye,
Yaad Ubaid-e-Raza unko jab kijiye.

Unkay nisar, koi kaisay bhi ranj mein ho,
Jab Yaad aagaye hain, sub gham bhula diye hain,
Yaad Ubaid-e-Raza un ko jab kijiye.

Walah woh sun lein gay, faryad ko pohnchein gay,
Itna bhi to ho koi, jo aah karay dil say,
Yaad Ubaid-e-Raza unko jab kijiye.

Baat jo kijiye Aur jab kijiye,
Saath main Zikr-e-Mehboob kijiye.

Urdu Naat Information:

Sana Khuwaan: Owais Raza Qadri
Kalaam By: Obaid-E-Raza